
हेल्लो दोस्तों! आज हम इस आर्टिकल में (Java और JavaScript में अंतर – पूरी जानकारी हिंदी में) के बारे में पढ़ेंगे। इसे बहुत ही आसान भाषा में लिखा गया है, जिससे आपको इसे समझने में कोई दिक्कत नहीं होगी।
अगर आप Java और JavaScript के बीच का अंतर नहीं जानते या दोनों को एक जैसा मानते हैं, तो यह आर्टिकल आपके लिए बहुत फायदेमंद होने वाला है। इसे पूरा पढ़िए, ताकि आपको इनके उपयोग, विशेषताएं और कार्यक्षेत्र की पूरी जानकारी मिल सके।
JavaScript ka naam Java jaisa hone ke karan log sochte hain ki JavaScript, Java platform ka ek hissa hai, parantu Java aur JavaScript poornataya bhinn hain. Niche diye gaye points ke madhyam se hum in dono ke beech ke mukhya antar samajh sakte hain.
1- Nature of Language: JavaScript ek OOP (Object-Oriented Programming) scripting language hai, jabki Java ek OOP programming language hai.
2- Execution Environment: JavaScript sirf browser ke andar run hoti hai, jabki Java ka code JVM (Java Virtual Machine) aur browser dono mein execute ho sakta hai.
3- Complexity: JavaScript ka code aasaan aur simple hota hai, jabki Java ka code complicated aur complex hota hai.
4- Usage: JavaScript ka upyog HTML ke sath dynamic web pages banane ke liye hota hai, jabki Java ka upyog standalone applications aur live applications banane ke liye hota hai.
5- Compilation: JavaScript ka code compile kiye bina browser mein execute ho jata hai, jabki Java code ko pehle compile karna padta hai.
6- Platform Support: JavaScript Java ke mukable jyada platforms ko support karti hai, kyunki ye har modern browser par run ho sakti hai.
7- Object-Oriented Approach: Java ke objects class-based hote hain, jabki JavaScript ke objects prototype-based hote hain.
8- Typing System: JavaScript dynamically typed language hai, jabki Java statically typed language hai. Matlab, JavaScript mein variables ka type runtime par decide hota hai, jabki Java mein variables ka type compile time par fix hota hai.
9- Standalone Nature: JavaScript ek stand-alone language nahi hai, ise HTML ke sath use karna padta hai, jabki Java ek standalone programming language hai jo kisi aur language par depend nahi karti.
Ans: Nahi, Java aur JavaScript alag-alag programming languages hain. Dono ka syntax aur execution environment alag hota hai.
Ans: Nahi, JavaScript ko backend development (Node.js), mobile apps (React Native, Ionic), aur even AI/ML applications ke liye bhi use kiya jata hai.
Ans: Haan, lekin Java ek class-based OOP language hai, jabki JavaScript ek prototype-based OOP language hai.
Ans: Java multithreading support karti hai, lekin JavaScript single-threaded hoti hai aur asynchronous programming ko support karti hai (like async/await, Promises, event loop).
Techy Notes पर पाएँ आसान हिंदी में computer notes in hindi और IT company interview questions, जिससे तैयारी हो असरदार और आसान हर छात्र के लिए।
© 2024 Created By Himanshu Nigam