
Hello doston! Aaj main aapko Artificial Intelligence Ke Features Aur Uses in Hindi (आर्टिफिशियल इंटेलिजेंस के फीचर्स और उपयोग हिंदी में ) ke baare mein bahut hi aasan bhasha mein bataunga tatha iski applications (अनुप्रयोग) ke baare mein padhenge. To chaliye start karte hain
1. Artificial Intelligence ke saath, jo errors (galtiyon) ki sambhavanayein hoti hain, woh na ke barabar hoti hain. Aur iski accuracy (shuddhata) bahut hi adhik hoti hai.
2. AI ka upyog karne se human (manushya) ka kaam bahut hi kam ho jata hai aur manushya ki jaan ka khatra bhi kam ho jata hai. Jaise: bomb ko diffuse karne mein, minerals ko mine karne mein, space ke kaam mein, etc.
3. AI ke paas calculation karne ki bahut hi high power aur efficiency hoti hai. Parantu ye daily life ke experiences mein bahut kamzor hote hain.
4. AI ke paas koi feelings nahi hoti hain. Ye roz humare liye bahut saare kaam karte hain, parantu unhe yeh nahi pata hota hai ki woh kya kar rahe hain. Ye bas apne orders ko follow karte hain (jis prakar unki coding ki gayi hoti hai).
5. Iske paas solution ka ek bada set (group) hota hai. Manushya bahut saari problems ko face karta hai aur AI isme bahut useful hota hai. Jaise: technical problems, economic problems, etc.
6. Artificial Intelligence ke paas learning ability hoti hai, arthaat seekhne ki shakti hoti hai.
7. Iski decision-making bahut tez hoti hai.
8. Ye plan create aur execute kar sakta hai.
9. Isme communicate karne ki ability hoti hai.
10. AI jo hai woh healthcare sector mein mareezon ki problems ko solve kar sakta hai.
11. Iske paas sochne ki shakti hoti hai.
12. Ye aise tasks (karyon) ko hata deta hai jo boring hote hain aur upyogi nahi hote, jisse manushya ka samay bachta hai.
13. Ye manushya ki awaaz ko pehchankar usse ek upyogi format mein badal sakta hai.
1 – Healthcare (Swasthya ke kshetra mein)
Aajkal companies bimari ko diagnose karne ke liye Machine Learning ka upyog karti hain.
Ye manushya se tez diagnose kar sakta hai.
AI mareez ke data aur usse sambandhit data sources ko parikalpana karta hai aur apne results ko present karta hai.
2 – Business mein
Aajkal business mein jyadatar robots ka upyog kiya jata hai.
Ye robots samaan ko ek jagah se dusri jagah pahunchane mein madad karte hain.
Isse manushya ki zaroorat business mein kam ho gayi hai.
Education (Shiksha ke kshetra mein)
AI students ka assessment karta hai aur unko work karne mein madad karta hai.
Ye teachers ke liye bhi kaafi upyogi
3 – Vehicles (Gadiyon mein)
Aajkal khud se chalne wali cars aa gayi hain.
Inmein kisi bhi manushya ko drive karne ki zaroorat nahi padti hai.
4 – Gaming mein
AI jo hai woh gaming field mein important role play karta hai.
Jaise: chess, poker, etc.
Ismein machine yeh sochti hai ki kya-kya sambhavanayein ho sakti hain.
4 – Natural Language Processing (NLP) mein
AI ke wajah se manushya dwara boli gayi bhasha ko computer samajh sakta hai.
5 – Kheti mein
Humans ko food ki zaroorat hoti hai aur iske liye AI bada yogdan de sakta hai.
Jaise: Bhumi kitni upjaau hai, climate change, pollution level ka pata lagana.
Jungli janwar jo fasal ko nuksan pahunchate hain, unhe robots ki madad se roka ja sakta hai.
Techy Notes पर पाएँ आसान हिंदी में computer notes in hindi और IT company interview questions, जिससे तैयारी हो असरदार और आसान हर छात्र के लिए।

© 2024 Created By Himanshu Nigam