Advantages And Disadvantage of DBMS in Hindi
Himanshu Nigam March 20, 2025 नमस्ते दोस्तों! आज हम इस पोस्ट में बहुत ही आसान भाषा में Advantages of DBMS in Hindi (डी. बी. एम. एस. के लाभ क्या है?) के बारें में पढेंगे और इसके disadvantages को भी देखेंगे, तो चलिए शुरू करते हैं:- Advantage Of DBMS No Data Redundancy and InconsistencyEk hi tarah ke data ka bahut saari jagah nakal (duplication) ko hum Data Redundancy kehte hain. Aur ek tarah ka data alag-alag jagah hone se Data Inconsistency hoti hai, jo storage aur cost badhata hai. Lekin DBMS me humein isse chutkara milta hai. Restricting Unauthorized AccessDBMS me koi bhi user bina anumati ke database ko access nahi kar sakta. Isme DBA (Database Administrator) security badhane aur system ko bina aagya ke access karne se rokne ke liye restrictions ka use karta hai. Data Integrity and SecurityDBMS me security aur integrity (akhandata) ka pura dhyan rakha jata hai. Database me kisi bhi value ko insert karne se pehle kuch conditions satisfy karna zaroori hota hai. Users ko sabhi data access karne ki anumati nahi hoti, jisse data integrity badhti hai. Simple AccessDBMS me database ko aasani se access kiya ja sakta hai. Access ko simple banane ke liye API (Application Programming Interface) ka use kiya jata hai. Data SharingDBMS ka mukhya labh (advantage) Data Sharing Iske madhyam se hum data ko bahut saare users aur applications ke saath share kar sakte hain. Decision MakingDBMS me data ko behtar tareeke se manage kiya ja sakta hai aur data ko aasani se access kiya ja sakta hai. Is wajah se decision making (nirnay lena) bahut aasaan ho jata hai. Data Backup and RecoveryIsme data backup lene ke liye ek mazboot framework hota hai, jisse hum kabhi bhi data ka backup le sakte hain. Users ko khud backup lene ki zaroorat nahi hoti, DBMS khud backup le leta hai. Agar kabhi server down ho jaye, to data easily recover kiya ja sakta hai. Maintenance CostDBMS system ko kharidne ka cost zyada ho sakta hai, lekin maintenance cost bahut hi kam hoti hai. Data LossDBMS me data loss na ke barabar hota hai. Agar hum hazaron saalon tak bhi data store karke rakhein, to bhi data loss nahi hota. Isme security behtar hoti hai aur data storage ka cost kam hota hai, jisse data loss ki sambhavana bahut kam hoti hai. Disadvantage Of DBMS DBMS software aur hardware ka cost bahut zyada hota hai. DBMS ki functionality bahut complex hoti hai. DBMS ka size bahut bada hota hai. Iske components ko lagataar update karna padta hai, jo bahut mushkil hota hai. Agar achanak bijli chali jaye ya database corrupt ho jaye, to important data delete ho sakta hai.
Advantages And Disadvantage of DBMS in Hindi Read Post »
